बंद कर आंखों को सो जाए
मुनासिब नहीं अब किसी के लिए
हर शख्स जद्दोजेहद में लगा
वक़्त नहीं अब खुशी के लिए
ख्याल बन के रह गए फुर्सत के दिन
तमाशा है आज आदमी आदमी के लिए
मुद्दत हुए मुस्कराए हुए भी
महरूम है लब हँसी के लिए
आब-ऐ-चश्म कही खो गए
तरसी है आखें अब नमी के लिए
नदीम कन्धों पे चढ़ कर आज
हाथ फैलाते है कामयाबी के लिए
रुखसार के बदलते रंग देखो
ऐतबार-ऐ-आशना मुमकिन नहीं बिस्मिल के लिए
दिल में जगह हम किसी से क्या मांगे
इनकार करती है ज़मी अब दफ़न के लिए
बंद कर आंखों को सो जाए
मुनासिब नहीं अब किसी के लिए .....
band kar aankhon ko so jayen
munasib nahi ab kisi ke liye
har shakhs jaddozehad me laga
vaqt nahi ab khushi ke liye
khayal ban ke rah gaye fursat ke din
tamaashaa hai aaj aadmi aadmi ke liye
muddat hue muskaraye hue bhi
mahroom hai lab hansi ke liye
aab-e-chashm kahi kho gaye
tarsi hai aakhen ab nami ke liye
nadeem kandhon pe chad kar aaj
hath failate hai kaamyabi ke liye
rukhsaar ke badalte rang dekho
aitbaar-e-aashana mumkin nahi bismil ke liye
dil me jagah hum kisi se kya mange
inkaar karti hai zami ab dafan ke liye
band kar aankhon ko so jaye
munasib nah iab kisi ke liye
1 comments:
escape said...
really a gud reality representation......!!